By Malvika Kashyap
April 7, 2022
Note अगले स्लाइड पर जाने के लिए, या विज्ञापन स्किप करने के लिए स्क्रीन टच करें
Garmiyon Ke mausam mein bajar mein shehtoot bikta hai. Iska khatta-meetha avn rasila swad sabhi ko apna deewana banata hai.
Shehtoot ka fal jitna swadisht lagta hai, utna hi sharir ke liye sehatmand bhi hota Hai. Ayurved mein bhi iske kai sare fayde bataye gaye hain.
Shehtoot ko kaccha aur paka donon tarah se khaya ja sakta hai. Shehtoot mein vitamin A, K, potassium jaise kai sare poshak tatv maujud hote hain.
Agar aapko pachan sambandhi koi pareshani hai to shehtoot se aapko bahut labh mil sakta hai. Iske poshak tatv hamare pachan ko sudharte hain.
Shehtoot mein maujud tatv hamare sharir Mein faile hue pradushan ko dur karte hai avn sankramit chijon ko bhi bahar nikalta hai.
Shehtoot ka juice jhurriyon ki pareshani se nijaat dila sakta hai. Shehtoot ke sevan se chehra taro taaja avn chamakdar dikhai dega.
Shehtoot mein anti aging property wale tatv hote hain. Inse hamari tvacha jawan bani rahti hai. sath hi urin se judi samasyaon ko yah dur karta hai.
Shehtoot ka sevan karne se aankhon ki roshani badhati hai. Garmiyon mein iska sevan hamen lu lagne se bhi bacha sakta hai.
Agar aap liver se judi bimari se pareshan hai to shehtoot ka sevan karen. Sath hi iske sevan se hamari kidney ko bhi bahut fayda ho sakta hai.
Shehtoot ka sevan karne se sharir mein khoon ke thakke banne se roka ja sakta hai. sath hi yah hamare tanav ko bhi dur karta hai.
Iske sevan se sharir mein maujud sharkra per bhi niyantran kiya ja sakta hai. Shehtoot hamen kil, munhase, balon ki samasyaon se bhi nijaat dilata hai.
Shehtoot ke bataye gaye sabhi fayde keval jankari ke taur per le. Iska sevan karne se pahle apne doctor ya chikitsak ki salah jarur le.
Next Web Story
To visit next Web Story, Swipe Up the following button or Click on it 🙏 Thank You!