By Malvika Kashyap
April 7, 2022
Note अगले स्लाइड पर जाने के लिए, या विज्ञापन स्किप करने के लिए स्क्रीन टच करें
Dar asal GB WhatsApp ye WhatsApp ka ek modded version hai. Iska upyog log whatsapp ke Kai feature ko hack karte hue chatting ko majedar banane ke liye karte Hain.
Ise WhatsApp ka ek Naya version bataya ja raha hai. Lekin ye WhatsApp ka koi naya version nahi Hai. Ye ek bilkul alag app hai. Isliye aapko savdhani bartani chahie.
Is app mein Kai sare feature hai jinhen aap apne hisab se customise kar sakte hain. Ismein theme badalne se lekar Kai sare feature maujud hai.
WhatsApp ko band karne ke bad bhi aap ismein khud ko online dikha sakte hain. Aapki contact list mein se kisi ek contact ke liye last seen chhupa sakte hain.
Iska khas baat yah hai ki dusre logon dwara upload kiya gaya WhatsApp status aap aaram se copy kar sakte hain ya fir download kar sakte hain.
Aap apne typing ya recording karte samay dikhai Dene Wale Typing... ya Recording... status ko band kar sakte hain.
GB WhatsApp mein jo bhi photo aap bhejenge use high quality mein send kar sakte hain. Official WhatsApp mein aapki photo compress ho jaate hain.
Aapke contact list mein se jab koi bhi uska profile photo ya DP change Karega, to aapko uska notification mil jaega.
GB WhatsApp mein chatting ko khole bina hi aap chat list ko dekh sakte hain. Sath hi Apne pasandida kisi font style ko bhi chun sakte hain.
GB WhatsApp mein aap ek sath 90 se jyada photo bhej sakte hain. Sath hi 50 MB se jyada size ki video clip bhi send kar sakte hain.
GB WhatsApp mein aap kisi ko koi message kab bhejna hai iski scheduling kar sakte hain. Message ke bad double tick ya Blue tick ko band bhi kar sakte hain.
Ismein ek aur khas feature yah Hai Ki aap 250 se jyada lagbhag 600 logon ko ek sath broadcast message kar sakte hain. Logon ko ye feature bada pasand hai.
Kisi contact ko calling band karne ki suvidha bhi aapko ismein mil jaati Hai. Sath hi ismein aap auto reply ko bhi set kar sakte hain.
GB WhatsApp is third party dwara develop kiye gaye version ko use karne se aapki jankari chori ho sakti hai. Isliye agar aap iska upyog kar rahe hain to savdhan ho jayen!
Next Web Story
To visit next Web Story, Swipe Up the following button or Click on it 🙏 Thank You!