By Malvika Kashyap
April 7, 2022
Note अगले स्लाइड पर जाने के लिए, या विज्ञापन स्किप करने के लिए स्क्रीन टच करें
Aajkal ham sabhi official WhatsApp ko use karte hain. Jyadatar mobile user se messaging app ke liye WhatsApp ko hi pasand Kiya jata hai.
Lekin is official WhatsApp ke hi kuchh features ko edit karte hue alag modded version ka App nikala gaya hai. Ye 'GB whatsapp' ke naam se Jana ja raha hai.
Yah koi official WhatsApp ka updated version nahin hai. Isi vajah se iska upyog karne se aapko kai nuksan ho sakte hain.
Google Play Store per available na hone ke karan iski apk file ko phone mein install kiya ja sakta hai. Lekin Aisa karna nuksandeh ho sakta hai.
Agar aap is modded version ke GB WhatsApp ko use karte hain, to aapka official WhatsApp account block ho sakta hai.
GB WhatsApp ko ham original WhatsApp ka clone version kah sakte hain. Yah App upyogkarta ka data chura leta hai.
Bhale hi is app mein Kai sare features milte Hain. Lekin WhatsApp company ka yah koi official app version nahi hai. Isliye aapko isse dur hi rahana chahiye.
Is app ko official WhatsApp company ki taraf se band karne ki koshish bhi Ki gayi thi. Lekin kuchh dinon bad yah fir se shuru ho gaya.
Is app ka upyog karne wale user ka data official company ke pass nahin hota. Isliye is app ke user ka data surakshit nahin Rah Sakta.
Is tarah ke modded app ka upyog karne wale user ka data ekattha kiya jata hai. Sath hi privacy policy ka ullanghan karte hue ye data bajar mein becha jata hai.
Aise app ka upyog karke users ka data puri tarah se leak karne ki sambhavna bahut jyada hoti hai. Isliye hamen aise App se bach ke rahana chahiye.
Official Whatsapp ki copy karne wale is app ka upyog bada hi nuksandayak ho sakta hai. Cyber experts bhi aise apps Ko istemal Na karne ki Salah dete Hain.
Next Web Story
To visit next Web Story, Swipe Up the following button or Click on it 🙏 Thank You!