Health

Shahtoot  Ke sehatmand Fayde

By Malvika Kashyap

April 7, 2022

Worth to Share

Note अगले स्लाइड पर जाने के लिए,  या विज्ञापन स्किप करने के लिए स्क्रीन टच करें

Phone

Garmiyon Ke mausam mein bajar mein shehtoot bikta hai. Iska khatta-meetha avn rasila swad sabhi ko  apna deewana banata hai.

Garmiyon mein  bahut bikata hai shehtoot

Shehtoot ka fal jitna swadisht lagta hai, utna hi sharir ke liye sehatmand bhi hota Hai. Ayurved mein bhi iske kai sare fayde bataye gaye hain.

Ayurved mein  bataen hain fayde

Shehtoot ko kaccha aur paka donon tarah se khaya ja sakta hai. Shehtoot mein vitamin A, K, potassium jaise kai sare poshak tatv maujud hote hain.

Poshak tatvon se  bharpur shehtoot

Agar aapko pachan sambandhi koi pareshani hai to shehtoot se aapko bahut labh mil sakta hai. Iske poshak tatv hamare pachan ko sudharte hain.

Pachan sudharta hai

Shehtoot mein maujud tatv hamare sharir Mein faile hue pradushan ko dur karte hai avn sankramit chijon ko  bhi bahar nikalta hai.

Toxin bahar nikalta hai

Shehtoot ka juice jhurriyon ki pareshani se nijaat dila sakta hai. Shehtoot ke sevan se chehra taro taaja avn chamakdar dikhai dega.

Chehre ko deta hai chamak

Shehtoot mein anti aging property wale tatv hote hain. Inse hamari tvacha jawan bani rahti hai. sath hi urin se judi samasyaon ko yah dur karta hai.

Anti aging hota hai shehtoot

Shehtoot ka sevan karne se aankhon ki roshani badhati hai. Garmiyon mein iska sevan hamen lu lagne se bhi  bacha sakta hai.

Garmiyon mein lu se bachaye

Agar aap liver se judi bimari se pareshan hai to shehtoot ka sevan karen. Sath hi iske sevan se hamari kidney ko bhi bahut fayda ho sakta hai.

Kidney aur liver  ke liye faydemand

Shehtoot ka sevan karne se sharir mein khoon ke thakke banne se roka ja sakta hai. sath hi yah hamare  tanav ko bhi dur karta hai.

Khoon Ke thakke nahin bante

Iske sevan se sharir mein maujud sharkra per bhi niyantran kiya ja sakta hai. Shehtoot hamen kil, munhase, balon ki samasyaon se bhi nijaat dilata hai.

Tvacha ya balon  ke liye faydemand

Shehtoot ke bataye gaye sabhi fayde keval jankari ke taur per le. Iska sevan karne se pahle apne  doctor ya chikitsak ki salah jarur le.

Summary

Anaar Khane ke Fayde

Next Web Story

To visit next Web Story,  Swipe Up the following button  or Click on it 🙏 Thank You!